Friday 8 April 2016

Home Remedies for Heat Stroke: Loo Se Bachna Huya Ab Bahut Aasan


Kacche Aam ka Ras
Aam pnaa garmi ke dino me khub bikta hai. Isse aap ghar par hi bana kar pi sakte hai aur heat stroke se chutkara pa skate hai. Iska sevan din me ek glass kafi hai.

Imli
Pani me imli daal kar ubaal lijiye, 10 min ke baad ise mash kar lijiye aur chhan kar usme namak aur pani mila lijiye, phir iska sevan kijiye. Isse garmi ka bukhar sahi ho jata hai. Saath hi aap heat stroke se bhi aasni se bach sakte hai.

Pyaaj
Home Ramedies for Heat Stroke ki baate kare to yeh bahut accha upchar hai ki, sharir ki garmi ko utarne ke liye aap pyaaz ka use kare. Kacche pyaaj ko jeere ke saath bhun lijiye phir iska sevan kare jisse ki aapki pachan kriya sahi ho jaygi. Jo ki garmi ke wajay se bigad jati hai.

Gaye ka Dudh
Cow milk me kali mirch ke dane piskar dale phir ise sharir par lagaye. Aisa karne se sharir mese garmi turant nikal jati hai.

Phalo ka Ras
Chai-Coffee ki jagah par aap phalo ke ras, ganne ka juice aur nariyal ka pani piye kyoki in sab se garmi ke dino me bahut aaram milta hai aur heat stroke se bachane me bhi help milti hai.

Electrolyte Salt
Sharir me pani tatha kai minerals ka misharn hota hai, jo ki dehydration ki avstha me aapke sharir me bahut hi kam ho jata hai, jisse ki aapki body bahut kamjor ho jati hai tatha aapke badan, mashiye me dard rahta hai. Isliye apne sharir me pani aur minerals ke level ko banye rakhe.

No comments:

Post a Comment